6a6a1ef755b7c.pngFUTURE OF INDIA

                                 भारत का भविष्य

Vision 2047 – Every Student, Every Dream, Every Opportunity

                 विजन 2047 – हर छात्र, हर सपना, हर अवसर

                                                 PREAMBLE

Bhartiya Students' Rights Act (BSRA) sirf ek kanooni dastavez nahi, balki Bharat ke har bacche ke sapnon ka sankalp hai. Iska uddeshya sirf students ke adhikaron ki raksha karna nahi, balki unhe aisa vatavaran dena hai jahan har bachcha apni poori kshamata tak pahunch sake. Bharat ka bhavishya uske students ke haathon mein hai. Jab har student ko samaan avsar, gunvatta-yukt shiksha, suraksha, samman aur margdarshan milega, tabhi Bharat 2047 tak Viksit Bharat ke sapne ko sakar kar sakega.

            A STUDENT'S JOURNEY

                                  एक छात्र की यात्रा

            FROM BIRTH TO NATION BUILDING

                  जन्म से राष्ट्र निर्माण तक

Stage 1 – Birth :- Ek bachcha Bharat mein janm leta hai, Uske sapne uski paristhitiyon se bade hote hain, BSRA ka pehla sankalp hai ki kisi bhi bachche ka bhavishya uski gareebi, jaati, bhasha ya sthaan se tay na ho.

Stage 2 – School Education :- Woh school jata hai, Use surakshit classroom, achhe teachers, digital learning, sports, libraries aur quality education milti hai, Uska atmavishwas badhta hai.

Stage 3 – Higher Education :- School ke baad woh college ya university pahunchta hai, Uske paas scholarship, hostel, counselling, internship aur modern education ke avsar hote hain, Ab uske sapne aur bade ho jaate hain.

Stage 4 – Skill Development :- Woh sirf kitabon tak simit nahi rehta, AI, Robotics, Coding, Research, Communication, Leadership aur Practical Skills uski pehchan ban jaate hain.

Stage 5 – Career Choice :- Ab woh apna raasta khud chunta hai, Koi Doctor banta hai, Koi Engineer, Koi Teacher, Koi Artist, Koi Farmer, Koi Sportsperson, Har profession ka samaan samman hota hai.

Stage 6 – Startup & Innovation :- Kuch students naukri dhoondhne wale nahi, Naukri dene wale bante hain, Woh startups shuru karte hain, Innovation laate hain, Naye industries khadi karte hain.

Stage 7 – Research & Science :- Kuch students laboratories mein naye avishkar karte hain, Koi Scientist banta hai, Koi Space Mission par kaam karta hai, Koi Bharat ke liye naye technologies develop karta hai.

Stage 8 – Public Service :- Kuch students IAS, IPS, IFS, Judge, Army Officer, Police Officer aur Civil Servant bante hain, Woh desh ki seva ko apna kartavya maante hain.

Stage 9 – National Leadership :- Kuch students kal ke Chief Minister bante hain, Kuch Members of Parliament, Aur shayad, Unmein se koi ek Bharat ka Prime Minister bhi banta hai, Ek classroom se shuru hua safar desh ki leadership tak pahunch sakta hai.

Stage 10 – Nation Builder :- BSRA ka antim lakshya sirf successful students banana nahi, Balki Responsible Citizens banana hai, Aise nagrik jo imaandari, Samvidhan, kanoon, insaniyat aur rashtra ko sabse upar rakhein, Yahi Bharat ki asli taqat hogi.


VISION INDIA 2047

                                 ( BSRA ) Hum ek aisa Bharat dekhna chahte hain

•Jahan koi bachcha paison ki kami ke kaaran padhai na chhode. 

•Jahan har school quality education de. 

•Jahan har exam par vishwas ho. 

•Jahan research aur innovation ko samman mile. 

•Jahan students duniya ke liye solutions banayein. 

•Jahan education sirf degree nahi, character bhi banaye. 

•Jahan har yuva apne sapne poore kar sake. 

•Aur jahan Bharat duniya ka sabse trusted education nation ban sake. 

    

FINAL NATIONAL STUDENT PLEDGE

                         अंतिम राष्ट्रीय छात्र शपथ

"Main Bharat ka ek zimmedar student hone ke naate pratigya karta hoon ki main imaandari se seekhunga, mehnat se aage badhunga, Samvidhan ka samman karunga, kisi bhi prakar ki hinsa, nafrat aur bhrashtachar ka samarthan nahi karunga. Main apne mata-pita, guruon aur desh ka samman karte hue apni shiksha ka upyog sirf apni safalta ke liye nahi, balki Bharat ke vikas aur manavta ki seva ke liye bhi karunga.

                

AUTHOR'S MESSAGE

"Main Sardar Baljeet Singh azad Ye Supna  Mera Akele ka nahi, Bharat ke har student ki awaaz hai. Agar isme koi kami ho, to use milkar sudharen. Agar isme koi achhi baat ho, to use har classroom tak pahunchayen. Hamara lakshya virodh nahi, sudhar hai. Hamara uddeshya takraav nahi, samvaad hai, hamara sapna sirf ek hai har student ko uska adhikar, har teacher ko uska samman, har parent ko uska bharosa aur Bharat ko duniya ka sarvashreshth education system.

                  

BSRA FINAL DECLARATION

"Education is not a privilege. Education is the foundation of a strong democracy, a prosperous economy and a developed nation. Every student matters. Every dream matters. Every future matters."

"Shiksha kisi ka vishesh adhikar nahi, balki har nagrik ka aadhar hai. Har Student Mahatvapurn Hai, Har Sapna Mahatvapurn Hai, Har Bhavishya Mahatvapurn Hai.


          Bhartiya Students' Rights Act, 2026 (BSRA)

          "For Every Student. For Every Dream. For Every Future."

                   "हर छात्र के लिए। हर सपने के लिए। हर भविष्य के लिए।"

                                 

FINAL MESSAGE

           A Message from Bhartiya Public Sena (BPS)

Mere Pyare Bharat desh ke Students, Parents, Teachers aur Mere Deshvasiyon, Azadi ke baad Bharat Desh ne har kshetra mein pragati ki hai, lekin shiksha ke kshetra mein sudhar ki yatra abhi bhi jaari hai, Har peedhi ne apne samay ki chunautiyon ka saamna kiya hai, Aaj ki peedhi ka sabse bada adhikar hai surakshit, gunvatta-yukt, nishpaksh aur sammanjanak shiksha.

Bhartiya Students' Rights Act (BSRA), 2026 kisi sarkar, kisi rajneetik dal ya kisi vyakti ke viruddh taiyar nahi kiya gaya hai, Yeh ek jan-hit, student-centric policy proposal hai, jiska uddeshya Bharat ke har student ke adhikaron, zimmedariyon aur bhavishya ko ek majboot disha dena hai.

Hum yeh daava nahi karte ki Bhartiya Students Rights Act, BSRA (2026) mein har prashn ka antim uttar hai. Hum ise Bharat ke Students, Parents, Teachers, Education Experts, Judiciary aur Sarkar ke saamne ek pratham draft (Draft–1) ke roop mein vinamrata se prastut kar rahe hain, Yadi isme koi kami ho, to use milkar sudhara ja sakta hai, Yadi isme koi achha vichar ho, to use milkar desh bhar ke har student tak pahunchaya ja sakta hai, Humara vishwas hai ki kisi bhi loktantra ki sabse badi taqat samvaad hoti hai, Isi liye hum Bharat ke har student se nivedan karte hain.

Bhartiya Students Rights Act, BSRA (2006) ko dhyan se Padhein, apne sujhav dein aur shiksha ke behtar bhavishya ke nirmaan mein bhaagidaar banein.

Hum Bharat ki Uch Nyayapalika (Judiciary), Bharat Sarkar, Rajya Sarkaron, Education Authorities aur sabhi sambandhit sansthaon se bhi vinamr nivedan karte hain ki is proposal BASRA (2026) Act ka adhyayan karein aur yadi isme koi aise vichar hon jo Bharat Desh ke students ke hit mein upyogi hon, to un par vichar kiya jaye.

Humara uddeshya virodh nahi, Humara uddeshya sudhar hai.

Humara uddeshya takraav nahi, Humara uddeshya sahyog hai.

Humara uddeshya sirf ek hai, Ek aisa Bharat jahan har student ko uske supne poore karne ka samaan avsar mile.

Agar aane wale varshon mein Bhartiya Students Rights Act, BSRA (2026)  ek bhi  student ki zindagi behtar banane mein yogdan deta hai, to hamari mehnat safal mani jayegi.

Yeh sirf ek Bhartiya Students Rights Act, BSRA (2026) hi nahi.

Yeh Bharat ke har Ek Student ke Behtar Bhavishya ke liye ek vinamra prastaav hai.

"Har Student ka Sapna, Bharat ka Sapna hai. Jab Har Student Jeetega, Tabhi Bharat Jeetega."

BHARTIYA STUDENTS RIGHTS ACT, BSRA (2026)  

Founder & Principal Author 

Sardar Baljeet Singh Azad

Founder

Bhartiya Public Sena (BPS)

Email: bhartiyapublicsena@gmail.com

Mob: +91-7400170071

Loader GIF